Thursday, May 10, 2012

Zindagi ke do raahe......



Aaj main zindagi ke aise do raahe par khadi hoon jahan ek galat faisla mere zameer ko jeevan bhar utthne nahi dega aur ek sahi faisla, chahe aage ki raah mushkil kar de par mujhe apni nazron se kabhi girne nahi dega.

Ab faisla mera hai ki main kya chunti hoon....ek asaan sa galat rasta yaa fir mushkilon bhara sahi rasta. Aap sab soch rahe honge ki mujhe nirnay yaa chunaav karne me itni kathinayi kyun ho rahi hai to uska kaaran mera darr hai, 'mere apno ke liye'.

Achha, agar aap meri jagah hote to kya karte...shayad aap bhi usi asmanjas me phans jaate jisme aapko lagta hai ki main fansi hoon.Par aisa nahi hai...mere saamne koi asmanjas nahi hai. Main apna chunav karne ke liye sarv-samarth hoon. Jo koi bhi hai wo mujhe, mere faisle se diga nahi sakta.Mujhe galat kaam ke liye manaa nahi sakta. Jis baat ke liye mera dil gawahi nahi deta,wo kaam main kabhi nahi karti. Phir iske liye chahe mujhe koi kitna bhi daraa le ya dhamka le.Meri antar-atma, jo mujhe sahi raaste pe chalne ke liye keh rahi hai, wo galat nahi ho sakti. Maine Ishwar se hamesha yehi prarthna ki hai ,"Mujhe itni shakti, saahas aur vivek dijiye ki main hamesha sanmarg par chal saku.Apne satya par hamesha adig rahun".

Mujhe 'Dilwale Dulhaniya le jayenge' movie ka ek dialogue, jab bhi main apne ko aisi paristhiti me paati hoon, to yaad aata hai ki.....
["Meri maa hamesha kehti thi....ki tumhe zindagi me hamesha do raaste milenge ek sahi aur ek galat....
galat raasta bahut aasan hota hai...wo tumhe apni taraf khichega...Galat raaste mein tumhe shuruwat mein bahut khushiya milengi....par anth me tumhari haar hogi...
aur sahi raaste mein bhale tumhe shuruwat me taklife mile...bahut sehna pade.....
par anth me jeet tumhari hogi.."]

Isliye isi vishwas ke saath ki "Satya ki hamesha vijay hoti hai aur asatya ki haar", Maine sahi raah pe chalne ka chunav kiya hai...ab chaahe jo ho..:-)
Do baat kehna chahungi, ho sakta hai isse aap meri paristhiti samajh saken....

"Main sach hoon, main saahas hoon...mujhko kisi baat ka darr nahi
 Teri galtiyon ke pulinde ka wazan, mere zameer se badhkar nahi
Main jaanti hoon...mujhe puchkara jayega, mujhe dhamkaya jayega...
Laalach se baat na bani to mujhe kamjoriyon se daraya jayega
Kintu main atal-satya ki fasal hoon, tum be-gairaton si banjar nahi....
Mere jo dil me hai wo muh pe hai...tum jaisi vish me bujhi khanjar nahi"
Aage kya hoga wo bhavishya ke garbh me hain parantu main aatm-glaani se mukt hoon...khush hoon...:-)
Mera bolg padhne wale guni-jan aap bhi zara sochna aur apni baat kehna...aapka din bhi meri tarah ujjawal ho..Rabba khair kare !!!