Friday, August 24, 2012

Dil Ke Rakeeb!!!


Dear friends...
June ke uss post (shayad main aisi hi hoon!!!) ke baad aaj main aap sab se jud paayi hoon. Yaa fir yun kahun ki, shayad khud ko jod paayi hoon.
 Apne andar titar-bitar hue, bikhre se mann ko jod pana shayad badaa hi mushkil kaam hai. Aapko, dil ke un tukdo ko usi tarike se, usi kareene se sajana hota hai, jaisa ki wo pehle the. Aur aap unhe sajaa bhi lete hain par un dararon ka kya jo rishton ke darakne se pade hain!!!
Kuchh logon ke liye dosti, ek vyapar jaisa hai...wo usse isliye karte hain jisse unka kaam banta jaaye aur hum jaise buddhu-bakse, usse nibhane ke liye. Hamare liye jahan dosti ki kasauti- pyaar aur vishwas hai, unke liye swaarth, atma-ghaat hai~!!
Samajh nahi aata ki aise rishte ke sachhe yaa jhoothe hone ki kasauti kya hai...Kya nibhana hi dosti hai, fir chahe saamne wala uska use, apko bewkuf banane me kar raha ho. Log kaise bas apna- apna karne ke fer me dosti ko taak pe rakh dete hain...aapke vishwaas ko, ek kachhe dor ki tarah tod dete hain aur aap, bas dekhte reh jaate hain...bhauchakke!!! Aisa isliye kyunki shayad us rishte ke maayne, uski samajh, uski kadra kewal aapko hoti hai. Aap uski khushi me khush to dukh me double dukhi ho jaate hain parantu uske liye apka dukh, apki nakamyabi, apki mayusi...jashn ka sabab hota hai. Uske man ki kadwahat ko jaan ke aap jitna toot-te hain, ghut-te hain yaa fir bilakhte hain, utna hi aap, apne us "so called DOST" ko khush kar rahe hote hain. Uska motive poora kar rahe hote hain...yahan par bhi aap uska bhala hi soch rahe hote hain...kitne achhe dost hain aap. Itna kuchh hone par bhi kya aap use apna dost kahenge!!!
Shayad Nahi na...arre baba..BILKUL NAHI !!!
Beete do mahine jo main aap sab se door rahi...shayad mujhe yehi samajhne me lage. Ab to aap sab mujhe sach me budhhu-baksa hi samajh rahe honge. Mujhe is pal Raj Kapoor ji par filmaya gaya wo gana yaad aa rha hai..."Sab kuchh seekha humne..na seekhi hoshiyari. Sach hai duniya walon...ki hum hai Anari". Jaanti hoon aap sab bhi kuchh aisa hi soch rahe honge mere baare me par kya karen, kehte hain na ki, "Akal badaam khane se nahi...Zindagi me thokar khane se aati hai".
Isliye, finally...ab main unhe, apne Behtareen Life ki Book se unka chapter CLOSE kar chuki hoon. Apni memory me uploaded...Un sab ke naam ke aage se "DOSTI" jaise Pure n beautiful word ko delete kar chuki hoon. Ab mere liye, wo sab..Aise Ajnabi hain, jinhe main jaanti hoon, unki fitraton se unko pehchanti bhi hoon...par unse baat karne, even Hiii karne tak ki bhool main kabhi nahi kar sakti. Na akele mein aur na un chaar logon ke saamne jo hamesha "Log kya kahenge....afterall yahan sab ko saath me rehna hai..bla bla bla..huh!!" jaise vakyon se daraate hain.
Aaj aap sab se, apne dil ki baatein share karke dil ko achha mehsoos ho raha hai...ab main fir se zindagi ke utt-pataang rahon par dag bharne ke liye taiyaar hoon aur aaj bhi "Krishna-Sudama"..."Jai-Veeru" jaisi dosti ke kisse mann ko lubhaate hain aur yakeen dilaate hain ki aise bhi dost hote hain jo nishchal man se dosti ko nibhate hain. Panchtantra ke Unt(camel)- Siyaar ki kahani ke SIYAAR jaise nahi jo DIL KE RAKEEB(dushman) hote hain aur mauka padne par apko faans lete hain...Par unke liye us kahani jaisa hi ant hona chahiye..."Jaise Ko Taisa".
Chaliye Doston..Alvida na kehte hue.."Fir Milenge" ka vaada karti hoon...aur Kyunki Aap sab mere Dil ke Kareeb Hain...Isliye ye lekh padhne ke baad Un "Dil ke Rakeebon" se dhokha mat khayiega. Apni pratikriya zaroor dijiyega..Mujhe achha lagega!!
Apki Dost-
Renu