Monday, June 4, 2012

Shayad main aisi hi hoon ¡¡¡


Aaj bade dino ke baad kuchh likhne ka mann hua..pata nahi kya likhne wali hoon:-/

Kabhi akele baithe...khud ke baare me kabhi sochti hoon to lagta hai ki jaise bahut kuchh badal gya hai mujhme..kuchh changes achhe hain lekin kuchh badlaavon ka naa jaane kyun mann aakalan karne lagta hai.


Vyaktigat taur par dekhun to sab sahi lagta hai...saamne wale ko wo jaisa hai usi tarah apnana, jab tak ho sake rishton ko jod ke chalne ki koshish karna...chahe wo koshish saamne se aati hui nahi dikhai de. Pata nahi kyun..log itne insensible kaise ho jaate hain...hamari sahensheelta aur pyaar ko hamari kamzori samajh, usse khilwad karne lagte hain. Par shayad, unhe yeh nahi maloom hota ki, aap jiski bhavnaon ko thhes pahuncha rahe hain use aapki is harkat par taras aata hai.

To ab agar aisi paristithi main unhe bata dungi ki wo kya kar rahe hain, main unki asliyat samajh rahi hoon ...to main rude hoon...mujhe vyavharikta nahi aati..mujhse na-ummeedi hoti hai. Aur agar yunhi pagal banti jaaun to mujhse achha koi hai nahi (its really sucks me..yuckk!!!)

Par mujhe lagta hai...agar aise achhe ban ke apni atma ko klesh dena hai to sorry!! mujhe nahi achha banna. Main jo hoon so hoon...accept me or leave me...mujhe parwah nahi. Mujhe pata hai iss attitude par mere saath chalne wale log naa ke barabar honge par kya fark padta hai...kam se kam wo sachhe honge..mere apne honge...unke kanddhe par sar tikaungi to girne ka darr nahi hoga.

Dil ko baar baar marham patti ki zaroorat to nahi hogi...kyunki un jaise chhote dil ke logon se, mera vasta nahi hoga. Unke ghar ke raste se guzarna nahi hoga jinki soch ke raaste tang-sadi hui naaliyon se hokar guzarte hain. Jo apne ka dum bhar ke parayapan bhi haasil nahi kar paate...(pity ppl)!!!
Nahi chahiye mujhe aisi dosti,rishte-naate, apne log aur jhootha pyaar, swaarth me lipta hua apnapan..:(

Pichhe mud ke dekhti hoon to sang me bitaye pal, wo hansi, wo rona, wo roothna manana, wo gal bahiyan yaad aate hain, to aankhe bhar aati hain aur dil roye bina nahi reh pata...:( Us waqt lagta hai ki kyun zindagi ki kasauti par sahi-galat ko tola jata hai???...kyun nahi hum insaaf ki devi ki tarah aankh par patti baandh lete hain par unke bhi insaaf ka tarazu ek manka bhi galat nahi tolta. Shayad yehi zindagi ki sachhai hai. Har kisi ko pariksha deni padti hai. Mujhe bhi deni padi hai, par paas hoti hoon yaa fail...harzana mujhe hi bhugtna padta hai...sab kuchh khona mujhe hi padta hai :(